Out now · New release
Kafirana
Nazar
Released
The music video.
Kafirana Nazar · Hindi
Press play to watch here, through YouTube.
Listen now on
The words
Kafirana NazarChorus
Ye Kafirana Nazar
Ye Kafirana Nazar
Uljhe rahe
Khoye rahe
Doobe rahe umr bhar
Ye Kafirana Nazar
Ye Kafirana Nazar
Verse 1
Woh bewajah ki hansi
Woh baaton ka silsila
Lafz dariya ki tarah bahe
Ek khamoshi kinaare rahe
Kaajal mein shaam rahe
Muskaan mein ho savera
Waqt apni raah chale
Woh nazar mujh mein rahe
Bridge
Na kehne ka koi gila
Na bhoolne ki koi wajah
Chorus
Ye Kafirana Nazar
Ye Kafirana Nazar
Uljhe rahe
Khoye rahe
Doobe rahe umr bhar
Verse 2
Kuch lamhe guzar jaate hain
Kuch lamhon se hum guzarte hain
Guftagu ab kam sahi
Par ehsaas kahaan badalte hain
Kabhi yun hi jo baat ho
Beeta waqt bhi jaise hamare saath ho
Jo baat labon tak aa na saki
Woh khamoshi mein bhi poori ho
Verse 3
Jo khamoshi kinaare rahe
Woh mere saath behne lage
Waqt guzarta gaya magar
Woh mujh mein kahin rahe
Saryu, us naam mein jaise
Ek paak si rawaani hai
Saryu ki lehr badalti rahi
Par uska noor wahi hai
Jo lafzon mein sama na saka
Woh suron ki saans bana
Final chorus
Uljhe rahe
Khoye rahe
Doobe rahe umr bhar
Ye Kafirana Nazar
Ye Kafirana Nazar
Uljhe rahe
Khoye rahe
Doobe rahe umr bhar
Original Lyrics © 2026 Nappakari (A P Singh). All rights reserved.