Kafirana Nazar A song by Nappakari Ye Kafirana Nazar Ye Kafirana Nazar Uljhe rahe Khoye rahe Doobe rahe umr bhar Ye Kafirana Nazar Ye Kafirana Nazar Woh bewajah ki hansi Woh baaton ka silsila Lafz dariya ki tarah bahe Ek khamoshi kinaare rahe Kaajal mein shaam rahe Muskaan mein ho savera Waqt apni raah chale Woh nazar mujh mein rahe Na kehne ka koi gila Na bhoolne ki koi wajah Ye Kafirana Nazar Ye Kafirana Nazar Uljhe rahe Khoye rahe Doobe rahe umr bhar Kuch lamhe guzar jaate hain Kuch lamhon se hum guzarte hain Guftagu ab kam sahi Par ehsaas kahaan badalte hain Kabhi yun hi jo baat ho Beeta waqt bhi jaise hamare saath ho Jo baat labon tak aa na saki Woh khamoshi mein bhi poori ho Jo khamoshi kinaare rahe Woh mere saath behne lage Waqt guzarta gaya magar Woh mujh mein kahin rahe Saryu, us naam mein jaise Ek paak si rawaani hai Saryu ki lehr badalti rahi Par uska noor wahi hai Jo lafzon mein sama na saka Woh suron ki saans bana Uljhe rahe Khoye rahe Doobe rahe umr bhar Ye Kafirana Nazar Ye Kafirana Nazar Uljhe rahe Khoye rahe Doobe rahe umr bhar Original Lyrics © 2026 Nappakari (A P Singh). All rights reserved.